Career builder : June 2022

Lakshya bhedi MPPSC-2021-22

                                         Lakshya Bhedi MPPSC-2021-22


KAL  May ka mahina tha AAJ  June hai ,kaal ke akhand Pravaah ko bhala Chunauti kaisi !

Prinamtah apka priye blog pariksha se kuchh pahle aapko aapke lakshya ke prati samrpit hone ke liye kahne aaya hai .pichhle blogs ki bhanti yeh blog bhi aapko saargarbhit  Adhdhyan samagri ke sankalan se avgat kaewayega .

Niyemit stambh ,Parikshagat jarurton ki anukoolta se samanjasya rakhte hai !

Inhi me samahit vividhta aapke avsaron ko ek naya aayaam deti hai !

Samaye ka kaal chakra aitihasik nirnayon ka Sakshi banta hai!

Kabhi 14 August 1947 ki madhya-ratri bharat ki azadi ki gavaah bani thi! to 30 june 2017 ki Madhya-Ratri  ko desh ne ek bade aarthik badlao ki or kadam badaya!

SANSAD KE KENDRIYE KAKSH MEIN VASTU EVAM SEVA KAR KA AAGAJ HO GAYA! 

SACHMUCH EK RASHTRA,EK KAR ,EK BAZAAR(GST) 

RAJNEETIK AIKIKARAN KE BAAD ,AARTHIK AIKIKARAN KI DISHA ME EK THOS PAHAL!


PARIVARTAN SE SAAKSHATKAAR AAPKA BHI HOTA HAI EVAM HAMARA BHI !

PARIVARTAN KI ANUKULANSILTA HI SAFALTA KA ACHOOK MANTRA  HAI!

JEEVAN ME PRAGATI KI AAKANKSHA HAI TO PARIVARTAN SWABHAVIK HAI .

NADI KA SARPAKAAR PRAVAH HI USKE SAGAR MILAN KA MARG PRASHAST KARTA HAI! NADI KA HAR MOD KE SATH BAHNA HI USKA  NIRANTAR  PARIVARTAN HAI   !

PRATEK MARG KA HAR EK MOD EK NAYE AVSAR KA SRAJAN KARTA HAI ,NADI KI NIRANTARTA HI USKI NIRMALTA KA MANTRA HAI!

THAHRAO TO SADAN KO JANM DETA HAI ! TALAB KA PAANI KAHA SWACHH RAH PATA HAI ,  

KAAL EVAM PARISTHITI SE APNI STHITI KA SAAMANJASYA  SUNISHCHIT KARNE KE 

LIYE SWYAM MEIN PARIVARTAN KARNA ATI ANIVARYA HAI!

ISI LIYE MEIN AAP SBHI SE YEH NIVEDANKARTA HU KI MERE DWARA LIKHE GAYE

 PICHHLE BLOGS KO DHYAAN POORVAK PADKAR AAP NISHCHIT HI APNE LAKSHYA 

TAK PAHUCHENGE .,AISI MERI AASHA HI NAHI VARAN POORNA VISHWAASH HAI .

ISLIYE AAP SBHI APNE LAKSHYA KO GAMBHIRTA SE LETE HUYE PICHLE LIKHE GYE 

BLOGS KA ADHYAN GAMBHIRTA KE SATH KAREIN EVM KUCHH TRUTI YA MISTAKE HONE PAR MUJHE COMMENT KE MAADHYAM SE SOOCHIT KAREIN !

AAPKA APNA 

ANOOP SONI  

अपनी गलती स्वयं खोजे

Lakshya bhedi MPPSC-2021-22

MPPSC SPECIAL STRATEGY